\"Writing.Com
*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://shop.writing.com/main/books/entry_id/626789-Poems--ghazals-no-51-100-in-Hindi-script
Item Icon
Rated: E · Book · Cultural · #1510158
Hindi poems in Hindi script, mainly ghazals, Serial no. 1-700
#626789 added December 30, 2008 at 2:54pm
Restrictions: None
Poems / ghazals no. 51-100 in Hindi script
५१. MAJHDHAAR MEIN KISHTII HAI KINAARAA DE DO, 2 November, 2003

majhdhaar mein kishtii hai kinaaraa de do
mere tuute hue is dil ko sahaaraa de do

Waadaa ki na ham se bicchhad jaaoge
Tum rakhne ko dil aaj hamaaraa de do

duniyaa ki nahiin dil ki nazar se dekho
nazron ko mohabbat ka ishaaraa de do

mazbuur tamannaa pe karam farmaao
khwaabon ko hasiin ek nazaaraa de do

zurm aur khataa mere sabhi maaf karo
Haq apnii mohabbat ka dubaaraa de do.

MC Gupta ‘Khalish’
2 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44




५२. जब कली बाग में नयी खिली एक दिन तो बहुत देर मातम मनाया गया—बिना तिथि की गज़ल, ईकविता को १६-७-०७ को प्रेषित, ४ नवम्बर २००३

जब कली बाग में नयी खिली एक दिन तो बहुत देर मातम मनाया गया
एक मुश्किल कहां से गले आ पड़ी, हर किसी को ये दुखड़ा सुनाया गया

वो बिचारी कली मुस्कराती थी जब कोई उस की खुशी से न खुश हो सका
उस की मासूम मीठी सी आवाज़ को बेसुरा राग कह कर दबाया गया

एक दिन वो कली जब जवां हो गयी रूप दिन रात उस का निखरने लगा
रूप पर यूं न इतराओ, बान्धो इसे, दोष उस का बराबर जताया गया

बागबां को कली अब खटकने लगी, फूल खिल कर भला क्यों रहे बाग में
खोज वर के बज़ारों में होने लगी, दाम दूल्हे का इक दिन चुकाया गया

आयी बेला विदा की तो आंसू बहे, दूसरी ओर शहनाई बजने लगी
पांव ससुराल में जब बहू के पड़े तो जो लाई थी पहले गिनाया गया

जो भी मांगा गया वो तो लायी मगर उस में खामी हज़ारों निकाली गयीं
हाथ खाली ही धी को विदा कर दिया, बाप कंगला है उस को बताया गया

दिन में फ़ुर्सत न मिलती उसे काम से, रात कटती थी शौहर की मनुहार में
मायके से वो कुछ भी तो लायी नहीं, दे के ताना ये उस को सताया गया

उस ने रोया बहुत, गिड़गिड़ाया बहुत पर गुनाह उस का नाकाबिल-ए-माफ़ था
इस गुनाह की सज़ा क्यूं न मिलती खलिश, डाल पेट्रोल उस को जलाया गया.


महेश चन्द्र गुप्त खलिश
४ नवम्बर २००३

jab kalii baag mein nayii khilii ek din, to maatam bahut hi manaayaa gayaa
ek musiibat ye naahaq gale aa padii, ye gam har kisii par jataayaa gayaa


naazuk si pyaarii kumaarii kalii, wo kilakatii khushii se thi anjaan sii
Us ki masuum aur miithii si aawaaz ko, besuraa raag kah kar dabaayaa gayaa

Ek din wo kalii jab jawaan ho gayii, ruup din rat us kaa nikhrne lagaa
Ruup par tum na itraao, baandho ise, fikraa us ko baraabar sunaayaa gayaa

Baagbaan ko kalii ab khatakne lagii, phuul khil kar bhi gulshan mein kyuunkar rahe
Duulhe baazaar mein kitne dhuundhe gaye, daam duulhe kaa ek din chukaayaa gayaa


Aayii belaa bidaa kii to aansuu bahe, duusarii or shahnaaii bajne lagii
Pair sasuraal mein jab bahuu ne rakhaa, tab dahej us se chun kar ginaayaa gayaa

Aayii belaa bidaa kii to aansuu bahe, waqt-e-rukhsat ki shahnaaii bajne lagii
Pair sasuraal mein jab bahuu ne rakhaa, tab dahej us ka pahle ginaayaa gayaa


Jitnaa maangaa gayaa sab wo laayii magar, thiin ummiid jyaadaa hi sasuraal mein
Khaalii haathon hi dhii ko vidaa kar diyaa, kangle maa-baap hain ye bataayaa gayaa


Din mein fursat na miltii use kaam se, raat katatii thiin shauhar ki manuhaar mein
Hai dahej us ke ghar se bahut kam milaa, taanaa de de ke us ko sataayaa gayaa

Din mein fursat na miltii use kaam se, rotii bhar pet us ko muyassar na thii
Zulm us par bahut sakht tode gaye, har tariike se us ko sataayaa gayaa

Wo roii bahut, gidgidaayii bahut, par gunaah us ka na-kaabil-e-maaf thaa
Is gunaah ki sazaa kyuun na miltii Khalish, daal petrol us ko jalaayaa gayaa.


*This is a ghazal about how a young girl born in India is discriminated as a burden on the family and after she is married off and sent away with a big dowry, is ill treated by the in-laws who make further monetary demands, on non-fulfilment of which the young bride is burnt to death

MC Gupta ‘Khalish’
4 November, 2003












५३. Duniyaa mein aa ke ek din sab ko hi jaanaa hai, 13 November, 2003

Duniyaa mein aa ke ek din sab ko hi jaanaa hai
Na samajho ghar ise do chaar din ka ye thikaanaa hai

Jawaanii mein bahut sochaa kiye sab kucch badal deinge
Budhaape mein samajh aayaa ki dil sab se milaanaa hai

Gandgii dil mein hai auron ke to ham fiqr kyon karein
Hamein pahle to apne dil ka gandaapan mitanaa hai

Nasiihat jo abhi tak ham zamaane ko rahe dete
Hamein khud us nasiihat ko amal mein apne laanaa hai

Khalish ab tak ye biitii umr ishq-e-yaar mein lekin
Ibaadat mein khudaa ki ab ise aakhir lagaanaa hi.

MC Gupta ‘Khalish’
13 November, 2003












५४. mere mahbuub tiir-e-nazr mere dil pe chalne do 16 November, 2003


mere mahbuub tiir-e-nazr mere dil pe chalne do
bismil is ko hone do, armaan sab nikalne do

mujhe haasil nahiin tum phir bhi mere khwaab ke sadke
sadaa tum paas ho mere, hasiin ye khwaab palne do

kismat mein mohabbat ki agar likhii hai kurbaanii
to mere dil ki shamma ko bharii mehfil mein jalne do

ashkon ko chhupaane se mohabbat mein milegaa kyaa
nishaanii pyaar ki hain in ko aankhon se machalne do

Khalish ye raat lambii hijr ki hogii khatm ek din
Isii ummiid mein tum mere is dil ko bahalne do.


MC Gupta ‘Khalish’
16 November, 2003












५५. Tum sar-e-aam na mujh ko aawaaz do, dekh legaa koii bhed paa jaayegaa, 16 November, 2003

Tum sar-e-aam na mujh ko aawaaz do, dekh legaa koii bhed paa jaayegaa
Pardaa hatne ki ek baar bas der hai, raaz saare zamaane pe chhaa jaayegaa

Dil-jale hain bahut har galii mein yahaan, un ko milnaa hamaaraa gawaaraa nahiin
Saamne sab ke anjaan rahnaa sadaa, varnaa milnaa musiibat hi dhaa jaayegaa

Khat kabhii bhuul kar mujh ko likhnaa na tum, chaahe dil mein hazaaron ishaare uthein
Koraa kaagaz faqt bhej denaa mujhe, saaraa majbuun samajh aap aa jaayegaa

Tum salaamat raho ham nahiin maangte tum se kucch bhii mohabbat mein is ke siwaa
ChhoD mujh ko Khalish duur jaanaa nahiin, gam tumhaarii judaaii ka khaa jaayegaa


MC Gupta ‘Khalish’
16 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44





५६. TANHAAII, 17 November, 2003


aayaa tha akelaa main, jiitaa huun akelaa hi, ye umr-e- tanhaaii kyon aaj sataatii hai
ummiid sahaare ki kyonkar ke kisii se ho, meraa na koi hamdam na koi bhi saathii hai

armaan se kabhi jin ko is dil mein basaayaa thaa, do din ke wo mehmaan the par zakhm diyaa gahraa
raaton ke andhere mein suurat wo dikhaate hain, ek buund mohabbat ki aankhon mein samaatii hai

yaadon ke sahaare hi ab umr bitaanii hai, koii to sahaaraa ho is dil ke bahalne ka
shammaa-e-wafaa ab bhi roshan hai Khalish dil mein, afsaanaa zafaaon ka wo un ka sunaatii hai


MC Gupta ‘Khalish’
17 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44













५७. WADAA-E-MOHABBAT, 17 November, 2003


Gam se hai bhari duniyaa bas ek tum meraa saayaa ho
Khudaa ne waaste mere tumhein jaise banaayaa ho

Mujhe kyon dekhte ho tum bhare hairat nigaahon mein
Maano dil se tum ne merii fitrat ko bhulaayaa ho

Dar mujh ko nahiin ruswaaii duniyaa mein agar ho to
Mujhe dar hai kahiin tum ne na nazron se giraayaa ho

Mujhe har shakhs duniyaa mein bhalaa taktaa hai kyuun aise
Ki jaise karz le kar ke na phir maine chukaayaa ho

Mohabbat kii hai maine kyaa gunaah hai koi kar daalaa
Nahiin hai duusraa koi jise dil mein basaayaa ho

Mohabbat paak hai merii ye ek naazuk sachaaii hai
Na ho aisaa zahar dushman ki nazron ne milaayaa ho.


MC Gupta ‘Khalish’
17 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44





५८. MOHABBAT KA KARAM AAP NE FARMAAYAA HAI, 17 November, 2003



Mohabbat ka karam aap ne farmaayaa hai
Phir kyon zafaaon ka sitam dhaayaa hai

Meri duniyaa-e-mohabbat ko na thukraanaa
duniya ko tumhaare liye thukraayaa hai

Saaz-e-dil ne mere dil ki har dhadkan mein
Tere pyaar ka nagmaa sadaa sunaayaa hai

Tum mujhe chhod kahiin duur chale jaaoge
Har mulakaat pe is khyaal ne rulaayaa hai

Agar barbaad hi honaa likhaa hai kismat mein
To kyon ilzaam mohabbat pe meri aayaa hai

mere dil ki zaanib ek nigah to daalo
dil ke har kone mein tera saayaa hai.


MC Gupta ‘Khalish’
17 November, 2003





५९. MUJH PE PYAAR AA JAAYE, 18 November, 2003


mujh pe pyaar aa jaaye
Tumhe etbaar aa jaye

Ruuh ko chain aa jaaye
Dil ko karaar aa jaaye

Gamon se nizaat mil jaaye
Zindagii mein bahaar aa jaaye

Ek nigaah daalo aur
Mujh pe nikhaar aa jaaye

Justjuu karuun us ki
saamne yaar aa jaaye

Khalish hamdam bano mere
Aisaa dayaar aa jaaye


MC Gupta ‘Khalish’
18 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44












६०. MUJHE MALUUM NA THA RAAH-E-ULFAT CHAL NA PAAUUNGAA, 18 November, 2003



Mujhe maluum na tha raah-e-ulfat chal na paauungaa
Shamma bujh jaayegi chaah kar bhi us mein jal na paauungaa

Nahiin sochaa tha maine ishq mein aisaa bhi hogaa haal
Jis mein rah na paauungaa aur nikal na paauungaa.

Nahiin main jaanataa tha jo lubhaatii hai fizaa mujh ko
Na us mein saans le paauungaa us mein dhal na paauungaa

patthar ban gayaa hai dil Khalish ab kar ke intezaar
aayein kabr par wo aur main pighal na paauungaa.

MC Gupta ‘Khalish’
18 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44












६१. AAKHIRII KHAT, 19 November, 2003


Nahiin chahtaa par jiye jaa rahaa huun
Zahar zindagii ka piye jaa rahaa huun

Wafaain kabhi jo nibaahiin thiin maine
Ilzaam un ka liye jaa rahaa huun

Jazbaat dil ke jubaan tak na aayen
Hothon ko dar kar siye jaa rahaa huun

Inhe bhuul jaao ya dil mein sajaa lo
Faqt chand yadein diye jaa rahaa huun

Salaamii Khalish aakhirii khat ki le lo
Tere naam duniyaa kiye jaa rahaa huun


MC Gupta ‘Khalish’
19 November, 2003








६२. KHUSHII AUR GHAM, 22 November, 2003


Kisii ko khushii mil rahii hai chaman mein
Koi khush hai le ke gam-e-sahraa man mein

Shab-e-wasl mein mast koi koi
Gham-e-hijr barpaa kisii ke zahan mein

ajiib-o-gariib hai ye duniyaa ka aalam
Hain gham bhi khushii bhi nihaan ek kadam mein

Sitam kaa asar koi shaayar se puuchhe
Bhare hain ghazal, nazm-o-nagmaa sitam mein

Sitaaron ke aage jahaan aur bhi hain
Duniyaa manaatii hai maatam bharam mein

hai kyaa jahaan laut aane ke kaabil
Khalish us se puucchho jo soya kafan mein.


MC Gupta ‘Khalish’
22 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44



६३. DIN ZINDAGII KE BAHUT KHO CHUKAA HUUN, 23 November, 2003



din zindagii ke bahut kho chukaa huun
Hai jagnaa munaasib bahut so chukaa huun

Na-shukraa khudaa ke diye par rahaa main
Khushion ke hote bahut ro chukaa huun

Thaa waazib ki paunchhuu main auron ke aansuu
Bahut aansuon se main munh dho chukaa huun

Shaam-e-safar mein main thak sa gayaa huun
Jiine ka bojhaa bahut Dho chukaa huun

Taraane jawaanii ke bhaate nahiin ab
Shaayad main buudhaa bahut ho chukaa huun

Khalish ab to kaanton pe chalnaa hi hogaa
Khud biij jinke bahut bo chukaa huun.


MC Gupta ‘Khalish’
23 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44




६४. MERI YAADO NA SATAAO, DAR GAYAA HUUN MAIN, 24 November, 2003



Meri yaado na sataao, dar gayaa huun main
Mere paas na aao, bikhar gayaa huun main

jawaanii mein bahut paap kiye hain maine
na thukraao mujhe sanwar gayaa huun main

Kiin pahle zafaaein, par ab nibaahuungaa
Apnii de do wafaa, sudhar gayaa huun main

Maanaa ki tumhe barbaad kiyaa hai
Kar do aabaad, ukhar gayaa huun main

Duniyaa se ek roz chalaa jaauungaa
Miliin hain thokrein jidhar gayaa huun main

Ek pal to bithaa lo pahluu mein Khalish
Dosto,sab se bichhad gayaa huun mein.


24 November, 2003
ok



६५. MOHABBAT KA KHEL, 24 November, 2003


Kyaa kahiye mohabbat mein gham kitnaa padaa bhaarii
Chorii chorii tum ko wo taknaa padaa bhaarii

Jiite hain bahut maidaan tode hain kile ham ne
Ek dil ka kilaa teraa kyon fitnaa padaa bhaarii

Dil na ye rahaa apnaa, na banaa tumhaaraa hi
Ye khel mohabbat kaa hai itnaa padaa bhaarii

Aashiq sacchhe yuun to mitate hain mohabbat mein
Par ham ko mohabbat mein wo mitnaa padaa bhaarii

Mat dhuundho Khalish un ki fitrat mein wafaa jin ko
pal bhar bhi hamaare sang mein ruknaa padaa bhaarii.



MC Gupta ‘Khalish’
24 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44















६६. KHAT, 24 November, 2003


Khat un ka samhaal rakhaa hai
Unhein khat mein dhaal rakhaa hai

Aayeinge laut kar ke kabhii
khayaal dil se nikaal rakhaa hai

kyon ho gaye khafaa ham se
saamne sawaal rakhaa hai

Wo gaye to kyaa rahaa baakii
Zindgii mein malaal rakhaa hai

sahaare khat ke jiyoge kab tak
Khalish kyon bharam paal rakhaa hai.


MC Gupta ‘Khalish’
24 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44









६७. MILNAA HI UN SE GAJAB HO GAYAA, 26 November, 2003


Milnaa hi un se gajab ho gayaa
Kyaa haadsaa ye ajab ho gayaa

pahle farishtaa the ham jaise ab
Insaan se bhi adab ho gayaa

Bulaate the un ko to rahte the duur
Milne ka ye shauk kab ho gayaa

Bitaa na sake umr tanhaaii mein
Asar pyaar ka lab-a-lab ho gayaa

Payaam-e-mohabbat milaa tab hamein
Katl hasraton ka jab ho gayaa

Khudaa hi milaa na wisaal-e-sanam
Khatm waqt jiine ka ab ho gayaa

Khalish jii rahe ho kis ummiid mein
Unhe gair se pyaar ab ho gayaa.

MC Gupta ‘Khalish’
26 November, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44

६८. WO DIL KO CHURAAYE JAATE HAIN, 29 November, 2003



Wo dil ko churaaye jaate hain
Aankhon mein samaaye jaate hain

Din ko aate hain khayaalon mein
Raaton ko khwaab mein aate hain

Sahamii si nazar, masuum adaa
Ham ko wo aur lubhaate hain

Tanhaaii ke aalam mein bhi
Wo apnii jhalak dikhaate hain

Baatein karte hain ishaaron se
Kucch kahne se katraate hain

Hai pyaar magar zaahir ham par
Wo karne se sharmaate hain

Ikraar nahiin, inkaar nahiin
Naahaq wo ham ko sataate hain

Wo dekh hamaarii mushkil ko
Bas dhiire se muskaate hain

Ye naaz-o-adaa hasiinon ke
Jii bhar ke Khalish bharmaate hain


MC Gupta ‘Khalish’
29 November, 2003



६९. TUMHAARII AANKHEIN, 2 December, 2003

Maikada hain ke mai hain tumhaarii aankhein,
kyaa kahuun kyaa shai hain tumhaarii aankhein

Jii chaahe har dam in ko hi dekhaa kiye
Kitnii maasuum aur nirbhay hain tumhaarii aankhein

In aankhon pe shak karne waalaa jhuuthaa hai
Kaun kahtaa hai vishmai hain tumhaarii aankhein

Koi dekhe to jaraa in ki adaa in ki chamak
Apne aap mein vismaya hain tumhaarii aankhein

Jaage rahte ho raaton ko kin khayaalon mein
Kyon bhaarii is subah hain tumhaarii aankhein

Khalish paak mohabbat ka aitbaar karo
giilii bin wajah hain tumharii aankhein


MC Gupta ‘Khalish’
2 December, 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44



७०. DIID-E-NAM, 2 December, 2003


Sahraa mein kaise bhuul is alam ko paaoge
Jaaoge jidhar chaar suu tum ham ko paaoge

Le ke kisii ka dil kiyaa hai aap ne barbaad
Dil se kabhii nikaal na is kham ko paaoge

Pahunchegi sadaa tuutne ki dil jo tum talaq
Badhtaa huaa har roz apne gham ko paaoge

Dil ke bagair jii na paayegii ye jindaa laash
Lautoge tum to niklaa huaa dam ko paaoge

Marne pe to aaoge Khalish phuul chadhaane
Takte tumhaarii raah diid-e-nam ko paaoge.

MC Gupta ‘Khalish’
2 December, 2003



७१. KYAA DIYAA, 4December, 2003


Maulaa ne mujh ko uthaa diyaa
Dil mein chiraag jalaa diyaa

Main kho gayaa thaa khwaab mein
Acchha kiyaa jagaa diyaa

Bhatkii huii nigaah ko
Sahii raastaa dikhaa diyaa

Duniyaa ki chakaa-chaundh ko
Merii nazar se hataa diyaa

Rangiin jahaan se pher kar
Dil ko khudaa mein lagaa diyaa

Bande khudaa ke hain sabhii
Ehsaas dil ko karaa diyaa

Jaraa soch tuu ab aiye Khalish
Duniyaa ko tuune kyaa diyaa.



4-12-03

७२. TANHAA , 5 December, 2003


Tanhaa tanhaa rahtaa huun
Chup chup sab gham sahtaa huun

Sunane waalaa koii nahiin
Kucch na jubaan se kahtaa huun

Main yaadon ke daryaa mein
Sote, jagate bahtaa huun

Pal bhar ko to aa jaao
Ek jhalak bas chahtaa huun

Baahar se khaamosh magar
Bhiitar se main dahtaa huun

Tuutii Khalish imaarat huun
Kaun kahe kab dhahtaa huun.



MC Gupta ‘Khalish’
5 December 2003


७३. JAA RAHAA HUUN, 9 December, 2003


Duniya se rukh modtaa jaa rahaa huun
Duniya ko main chhodta jaa rahaa huun

Rangiin fizaa se na ab waastaa hai
Libaas-e-khudaa odhtaa jaa rahaa huun

Sabhii dostii, rishte naate hain jhuuthe
Inhe din-ba-din todtaa jaa rahaa huun

Naataa ruuhaanii hi hai ek sacchhaa
Naataa-e-ruuh jodtaa jaa rahaa huun

Khalish chand din zindgii ke bache hain
Manzil ko main daudtaa jaa rahaa huun

MC Gupta ‘Khalish’
9 December 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44







७४. APNE BHI BEGAANE NAZAR AATE HAIN, 9 December, 2003


Apne bhi begaane nazar aate hain
Yaad kucch bhuule bashar aate hain

zahan mein jo kabhii kiye ham ne
Un ke saath safar aate hain

Jo jawaanii mein baayein haath kiye
Aaj wo kaam zabar aate hain

Bhejaa kaasid ko aaj un ke paas
Jaane kyaa paigaam-o-khabar aate hain

Takht-e-taaus ke maalik the aaj
Bhatakte dar-ba-dar aate hain

Umr bhar jo Khalish thukraayaa kiye
kabr par diid-e-tar aate hain.

MC Gupta ‘Khalish’
9 December 2003



७५. HAR WAQT MOHABBAT KE HOTHON PE TARAANE HAIN, 10 December, 2003


Har waqt mohabbat ke hothon pe taraane hain
Wo mere diwaane hain ham un ke diwaane hain

Andaaz-e-adaa dekhe koi un ki mohabbat ke
Milte hain magar aise jaise ki begaane hain

Gam se hai bharii duniyaa, ghutatii hain yahaan saansein
Do pal ye mohabbat ke jiine ke bahaane hain

Tum dil se mere khelo tuute to nahiin parwaah
Zakhm aur mohabbat ke is dil ko uthaane hain

Daaman na chhudaao tum rangiin abhii ham ko
in pyaarii si aankhon mein kucch khwaab jagaane hain

Kyuun chhodein Khalish apnii khuu un ki jafaaon se
Maana ki wafaaon ke jazbaat puraane hain.

MC Gupta ‘Khalish’
10 December 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44





७६. DARD SIINE MEIN BASAA BAITHE HAIN, 10 December, 2003


Dard siine mein basaa baithe hain
Ham unhe apna banaa baithe hain

Paas pal bhar ko mere aa jaayein
Aas har dam ye lagaa baithe hain

Nazar aate hain har taraf wo yuun
Jaise palkon mein bithaa baithe hain

Kucch nahiin suujhtaa hai ab ham ko
Wo hamein khud se churaa baithe hain

Har waqt hain nashe mein ham
Mai wo aisii pilaa baithe hain

diiwaangii mein sar-e-aam Khalish
Kalaam-e-ishq sunaa baithe hain.


MC Gupta ‘Khalish’
10 December 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44








७७. DIL-SARD NAZAARE DEKHE HAIN, 10 December, 2003


Dil-sard nazaare dekhe hain
Dhah jaate sahaare dekhe hain

Do din ki mohabbat mein lut gaye
Jo khwab hamaare dekhe hain


kucch aur andheraa kar jaayein
Ek pal ke sharaare dekhe hain

Dushman bhi sharmaayein jin se
Doston ke ishaare dekhe hain

Jo duur se hi lalchaate hain
Wo chaand sitaare dekhe hain

Taa-umr jinhe ham puuraa kiye
Wo naaz tumhaare dekhe hain

Jinke dil mein hai zahar Khalish
Wo jaan se pyaare dekhe hain.

MC Gupta ‘Khalish’
10 December 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44




















एद
मुझे कोई शै अब लुभाती नहीं है
अदा कोई दिल अब चुराती नहीं है

यहां खोखली महफ़िले- रंग-ओ-बू में
हकीकत नज़र कोई आती नहीं है

ज़माने के दस्तूर सब ऊपरी हैं
सुकूं कोई रूह आज पाती नहीं है

बियाबान है ये घटा भी यहां पर
बिना बात बारिश लुटाती नहीं है

कह दूं खलिश अलविदा इस जहां को
दिल से तमन्ना ये जाती नहीं है.





७८. मुझे कोई शै अब लुभाती नहीं है -– ईकविता को प्रेषित--RAMAS


मुझे कोई शै अब लुभाती नहीं है
अदा कोई दिल अब चुराती नहीं है

यहां खोखली महफ़िले- रंग-ओ-बू में
हकीकत नज़र कोई आती नहीं है

ज़माने के दस्तूर सब ऊपरी हैं
सुकूं कोई रूह आज पाती नहीं है

बियाबान है ये घटा भी यहां पर
बिना बात बारिश लुटाती नहीं है

कह दूं खलिश अलविदा इस जहां को
दिल से तमन्ना ये जाती नहीं है.



* Can be viewed at http://www.writing.com/main/view_item/item_id/1057265

महेश चंद्र गुप्त खलिश
१५ दिसम्बर २००३



******

Mujhe koi shai ab lubhaatii nahiin hai
Adaa koi dil ab churaatii nahiin hai

Bharam mein rahaa main bahut rang-o-buu ke
Hakiikat nazar in mein aatii nahiin hai

Zamaane ke dastuur sab khokhale hain
Sukuun in se ab ruuh paatii nahiin hai

Falak hai ye sahraa ka, naahaq yahaan koi
Ghataa apnii baarish lutaatii nahiin hai

Kah doo^ khalish al-vidaa is jahaan ko
Tamannaa ye ab dil se jaatii nahiin hai


* Can be viewed at http://www.writing.com/main/view_item/item_id/1057265

M C Gupta ‘Khalish’
15 December 2003

************
Subject: Re: Review of Item #1057265
Date: 03:34:27 06/13/2006
From: Safi (1)
Namaste Gupta ji,

It’s really a beautiful composition . I especially like these two lines-

Falak hai ye sahraa ka naahaq yahaan koi,
Ghataa apni barish lutaati nahin hai.

I do know Hindi. After all I am an Indian. I am from Moradabad, Uttar Pradesh. Could I
know your location?

Safi Anwer Yani













७९. MAREINGE TO JIYENGE, 29 December, 2003


Aashiq jo mohabbat mein mareinge to jiyenge
Dilbar ke agar dil mein rahenge to jiyenge

Puuchho to wo kahate hain jiyeinge to milenge
Apnii to ye zidd hai ki milenge to jiyenge

Jiine ko to duniyaa mein sabhii jiite hain yaaro
Muskaa ke wo jiine ko kaheinge to jiyenge

In pyaar ki raahon mein nahiin hansnaa hai mumkin
Kucch chot agar dil pe saheinge to jiyenge

Rukhsat ke waqt kaa wo samaan kaise bhulaa duun
Wo yaad Khalish dil mein rakheinge to jiyenge.

MC Gupta ‘Khalish’
29 Dec 2003
www.writing.com/authors/mcgupta44











८०. ARMAAN, 9 January 2004

the bahut armaan dil mein rah gaye
jo bache wo aansuon mein bah gaye

ham hii the jo ek tere pyaar mein
Har jafaa manind-e-wafaa sah gaye

Kab talaq juujhoge ham se naatwaan
Gam mere kaanon mein aa kar kah gaye

Khwaab kyon tum ne bune aise Khalish
Jhonke se barbaadiyon ke dhah gaye.

MC Gupta ‘Khalish’
9 January 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44













८१. AA JAAO, 25 January 2004


yaadon se jii bhartaa nahiin tum paas aa jaao
tum se bichhud ke huun bahut udaas aa jaao

tum kyaa gaye khushiyaan bhi merii saath le gaye
ab hai nahiin mujh ko kisii ki aas aa jaao

taktii hain suunii raah jagte mein meri aankhein
sote mein aate khwaab hain tum kaash aa jaao

Kab tak kareinge raat-o-din na-khatm intezaar
Ham zindagii se hain bahut hataash aa jaao

Mahruum rang-o-buu se hain gulshan ke saare phuul
Ham bhi tumhaare bin hain jindaa laash aa jaao

Diivaanagii ka aur kyaa sabuut chaahiye
Dekho Khalish meraa phataa libaas aa jaao.

MC Gupta ‘Khalish’
25 January, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44























८२. SHUKRIYAA, 25 January 2004


Ham ek baar un ke jo nazdiik aa gaye
Sochaa kiye ham pyaar ki manzil ko paa gaye

Manzil nahiin ye safar ki thi mahaz ibtadaa
Baadal gamon ke do kadam chalane pe chhaa gaye

Banaayaa mahal tha pyaar ka palkon se chun ke khwaab,
Zamaane ke sitam aashiaanaa meraa dhaa gaye

Kyaa khuub roshan ziist merii kar ke chaar din
Dil ka chiraag zindagii bhar ko bujhaa gaye

Jaanaa tha un ko, pyaar se karte khudaa ahaafiz
Hai ye malaal ban ke kyon wo bewafaa gaye

Hai un ka Khalish laakh tah-e-dil se shukriyaa
Wo jaate-jaate pyaar ki fitrat sikhaa gaye.

MC Gupta ‘Khalish’
25 January, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44









८३. AAYE HAIN SAMJHAANE LOG, 26 January 2004


Aaye hain samjhaane log
Phir mujh ko bahkaane log

Merii suunii sii aankhon mein
Jhuuthe khwaab jagaane log

Chiknii chupdii si baton se
Phir mujh ko bharmaane log

Jin ko ham ne apnaa samjhaa
Wo nikle begaane log

Daad kabhii ham ko dete the
Ab dete hain taane log

Kar dete hain chhotii-chhotii
Baaton ke afsaane log

Paak mohabbat ki raahon se
Aaye hamein hataane log

Kahte hain ham haar gaye hain
Kaise hain diiwaane log

Aaj mujhe kyon aamaadaa hain
Gunahgaar thehraane log.

Suulii par ek aur masiiha
Laaye Khalish chadhaane log


MC Gupta ‘Khalish’
26 January, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44



























Ed
तुमने कितनी देर लगा दी आने में
अब तो कुछ ही देर बची है जाने में

साथ तुम्हारा मिलता ये तकदीर न थी
खिल जाते दो फूल मेरे वीराने में

क्या वो दिल का दर्द किसीका समझेंगे
खुशी जिन्हें मिलती है सिर्फ़ सताने में

पीना, न पीना दोनों नामुमकिन हैं
तुमने ऐसा ज़हर दिया पैमाने में

दुश्मन को भी ये मंज़िल न हासिल हो
आप न झिझके हमें जहां पर लाने में.


८४. तुम ने कितनी देर लगा दी आने में—ईके को ५-११-०६ को भेजी, बिना तिथि की गज़ल, २६ जनवरी २००४--RAMAS


तुमने कितनी देर लगा दी आने में
अब तो कुछ ही देर बची है जाने में

साथ तुम्हारा मिलता ये तकदीर न थी
खिल जाते दो फूल मेरे वीराने में

क्या वो दिल का दर्द किसीका समझेंगे
खुशी जिन्हें मिलती है सिर्फ़ सताने में

पीना, न पीना दोनों नामुमकिन हैं
तुमने ऐसा ज़हर दिया पैमाने में

दुश्मन को भी ये मंज़िल न हासिल हो
आप न झिझके हमें जहां पर लाने में.

महेश चन्द्र गुप्त खलिश
२६ जनवरी २००४














KITNII DER LAGAA DII TUM NE AANE MEIN—old version

kitnii der lagaa dii tum ne aane mein
ab to kucch hi der bachii hai jaane mein

Saath tumhaaraa miltaa ye taqdiir na thii
Khil jaate do phuul mere viiraane mein

Dil ka dard kisii ka kyaa wo samjheinge
Jinhein khushii miltii hai sirf sataane mein

Hai na-mumkin piina bhi na piinaa bhii
Zahar diyaa aisaa tum ne paimaane mein

Mile na dushman ko bhi Khalish mukaam aisaa
Kasar na chhodii jahaan aap ne laane mein.


MC Gupta ‘Khalish’
26 January, 2004












८५. MAUT KI RAAHON SE YUUN UMR GUZARTII HAI, 4 Feb, 2004

maut ki raahon se yuun umr guzartii hai
Har raat merii tanhaa ro-ro ke guzartii hai

chehraa meraa yaaro bas ek lifaafaa hai
Kyon sab pe karein zaahir kyaa dil pe guzartii hai

Taaron se nikaltii hai jhankaar bahut dilkash
Hai ek kayaamat jo taaron pe guzartii hai

Ye zindagii merii hai par bas mein nahiin mere
Raahein wo paraaii hain ye jin se guzartii hai

Ek sard havaa hai jo yadon kii vaadii mein
Merii tanhaaii mein rah rah ke guzartii hai

Khud dekhtii hain apne jab tuute hue sapne
Dhundhalii aankhon se Khalish shabnam si guzartii hai.

MC Gupta ‘Khalish’
4 Feb, 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44




८६. JIITAA HUUN JIINE KI MUJHE KUCCH AAS NAHIIN HAI, 5 Feb, 2004


Jiitaa huun jiine ki mujhe kucch aas nahiin hai
Dil ke dhadakne ka mujhe ahsaas nahiin hai

Ta-umr tamannaaon ko ham zabt yuun kiye
Hain har suu nazaare, nazar mein pyaas nahiin hai

Is kadr na-ummiid ho kar kyon jiyein yaaro
Goya ki maksad jiine ka kucch khaas nahiin hai

Ham de chuke hain apnaa dil-o-jaan to yaaro
Ye chhoD kar ashaar ab kucch paas nahiin hai

Is daur-e-jamaan mein sabhii nange hain dosto
Is shahar mein saliika-e-libaas nahiin hai

ChhoDo Khlaish ye pyaar aur ulfat ke silsile
Tum ko jahaan mein ab mohabbat raas nahiin hai.


MC Gupta ‘Khalish’
5 Feb., 2004
www.writing.com/authors/mcgupta44






८७. KHUDAA HAAFIZ, 22 Feb, 2004

jaane se pahale apane dil ki baat to kahate
jo dil me^ chhupaa kar rakhe jazbaat to kahate

ab tum nahee^ ho paas kewal yaad hai baakee
ham tanahaa dil ke tum se ye haalaat to kahate

waqt-e-rukhsat gufta-goo pal bhar kar paaye
haafiz khudaa tumhaaraa ye fiqaraat to kahate.

ab door jaa base ho sitaaro^ kee god me^
hote Khalish jo paas mulaakaat ko kahate.



MC Gupta
22 Feb 2004







८८. HAM JAANATE HAIN TUM KO HAM SE PYAAR NAHIIN HAI, 27 Feb, 2004

Ham jaanate hain tum ko ham se pyaar nahiin hai
Ye rishtaa ham ko phir bhi naagawaar nahiin hai

Dil de diyaa hai ham ne tum ko pahlii nazar mein
dil tum bhi apnaa doge aitbaar nahiin hai

ye dil ka maamlaa hai nahiin rasm-e-baazaar
dil dene waalaa koii khariidaar nahiin hai

jab tak dhadak rahaa hai dil dekheinge terii raah
jo khatm ho jaaye wo intezaar nahiin hai

kitnaa chuupaayaa raaz-e- mohabbat na chhup sakaa
main kaise kah duun dil ye be-karaar nahiin hai

har waqt un ki yaad mein rahtii hai ek Khalish
wo laakh kahein un ko ham se pyaar nahiin hai.

MC Gupta
27 Feb 04

८९. TUM NE KYAA HAAL YE GAMGIIN BANAA RAKHAA HAI, 29 Feb, 2004


Tum ne kyaa haal ye gamgiin banaa rakhaa hai
Bolo kyaa ashq bahaane mein bhalaa rakhaa hai

Zindagii sirf hansiin khwaab sii guzarii hai kahiin
Gam to haathon ki lakiiron mein likhaa rakhaa hai

Kaun hai jis ne zamaane mein nahiin gam paayaa
Kis ko taqdiir ne is shai se judaa rakhaa hai

Ham ne har haal mein jiine ki kasam khaaii hai
Gam ki tasiir ko is dil se bhulaa rakhaa hai

Nahiin parwaah Khalish ham ko apne gam kii
Gam duniyaa ka is dil mein chhupaa rakhaa hai.

MC Gupta
29 Feb 2004



९०. LOG KAHTE HAIN MERE DIL MEIN KAHIIN PYAAR NAHIIN, 29 Feb, 2004

Log kahte hain mere dil mein kahiin pyaar nahiin
Kaise samjhaauun main ulfat ka talabgaar nahiin

Mere dil ne bhi kabhii dii thi mohabbat ki sadaa
Maine chaahat ko talaashaa tha baazaar nahiin

Mere sar pe bhi junuun ishq ka barpaa tha kabhii
Main bhi majnuu tha kabhii is se inkaar nahiin

Mere dil ne bhi rangiin fazaaein dhuundhiin
Meri kismat mein hi likhii thi bahaar nahiin

Bade nazdiik se maine hai mohabbat dekhii
Rasm-e-baazar hai ye is mein kahiin pyaar nahiin

Tum mujhe ishq ke paigaam sunaate kyon ho
Ishq wo shai hai mujhe jis se sarokaar nahiin

Zindagii kaa ye safar ab to Khalish tanhaa hai
Ham-safar kii is raah mein darkaar nahiin.

MC Gupta
29 Feb 2004




९१. KUCCH GUNAAHON KI MUJHE AAJ SAZAA MIL JAAYE, 1 March 2004

Kucch gunaahon ki mujhe aaj sazaa mil jaaye
In nigaahon ki mujhe aaj razaa mil jaaye

Main mukhaatib huun zafaaon ka silaa paane ko
Faislaa aap ka ho mujh ko kazaa mil jaaye

Katii hai justjuu mein zindagii ab tak merii
Kabhi to wasl ki rangiin fizaa mil jaaye

Waqt-e-rukhsat to aa gayaa hai magar
Ek lamhaa milne ka mazaa mil jaaye

Meri kismat mein Khalish teri baharein na sahii
Nahiin kucch aur tere dar se khizaa mil jaaye

MC Gupta
1 March 2004




९२. KYUUN MERII ZINDAGII BEMAANII HAI, 1 March 2004


Kyuun merii zindagii bemaanii hai
Kyaa mere dil ko pareshaanii hai

Jo bhi chaahaa wahii chhinaa mujh se
Zindagii kii yahii kahaanii hai

Justjuu phir bhi us ki kartaa huun
Jo shai ab talaq begaanii hai

Nahiin hai zurm karnaa khwaahish to
Binaa khwaahish nahiin jawaanii hai

Raho chalte zaanib-e-manzil
Khalish chalnaa hi zindganii hai.


MC Gupta
1 march 2004





९३. MUJHE AB TUM BHULAA DENAA, 4 March 2004



Kabhii na ho sake mere, mujhe ab tum bhulaa denaa
Bahut ab duur jaate hain, na milne ki duaa denaa

Rukuun main kisliye tum ko zaruurat hai nahiin merii
Bitaaye saath jo din yaad un kii tum mitaa denaa

Meri diiwaangii ne dii tumhein taqliif to lekin
mere piichhe se ab tum zindagii hans kar bitaa denaa

Nahiin mujh se nibaah paaye gilaa is ka nahiin mujh ko
Kisii ka lo agar dil ab to tum us se nibaah denaa

Bahut takliif hotii hai Khalish jab tuutataa hai dil
Mohabbat ka nahiin aisaa kisii ko tum silaa denaa.

MC Gupta
4 march 2004













९४. SAMJHAAYAA MUJHE DIL SE TUM KAHTE THE JAAOGE, 5 March 2004


Samjhaayaa mujhe dil se tum kahte the jaaoge
Roko chaahe khud ko in raahon pe jaaoge

samjhaa tha nahiin main hi tha dil pe gumaan jyaadaa
Kyaa khabr thi tum ek din dil hi le jaaoge

Kyon mere kariib itnaa aate ho mere dilbar
Dar dil ko ye lagtaa hai tum chhod ke jaaoge

Saaye mein gamon ke hi ham jiite rahe ab tak
Kyaa jaanate the khushiyaan itnii de jaaoge

Is shai pe mohabbat ki kucch jor nahiin chaltaa
Hoshiyaar Khalish ek din tum iimaan se jaaoge.

MC Gupta
5 March 2004






९५. VAADAA, 5 March 2004


Mujhe lagtaa hai dar meri mohabbat tuut na jaaye
Jo hamdam paayaa hai maine wo mujh se ruuth na jaaye

Use paa to liyaa hai par andeshaa dil mein rahtaa hai
Kahiin mahbuub meraa mujh se ek din chhut na jaaye

Ye daulat pyaar ki maine badii mushkil se paayii hai
Koi dhoke se mujh se yaar meraa luut na jaaye

Kahiin aisaa na ho dilbar ka mere wo hasiin vaadaa
Umr bhar saath rahne ka kahiin ho jhuuth na jaaye.

Bharosaa hai mujhe vaade pe us ke par kahiin meraa
Khalish is intezaar mein mit wazuud na jaaye.


M c Gupta
5 march 2004







९६. AA PHIR SE MERAA DARD BADHAANE KE LIYE AA, 6 March 2004



aa phir se meraa dard baDhaane ke liye aa
Suurat mujhe ek bar dikhaane ke liye aa

Maangeinge na ab terii zafaaon ka ham hisaab
Kucch pal tuu mere saath bitaane ke liye aa

Ham jaante hain tujh ko nahiin ham se mohabbat
Jhuuthii mohabbat ham se jataane ke liye aa

Hai sitm-e- judaii har ek sitm se baDh kar
Aa mujh pe sitm aur bhi dhaane ke liye aa

Kis kis ko bataayeinge kyon tuu ham se khafaa hai
Ruswaaii aur ilzaam mitaane ke liye aa

Har khwaahish-o-farmaan ham tasliim kareinge
Ek baar Khalish hukm chalaane ke liye aa.

MC Gupta
6 March 2004









९७. MAANAA KI HAM SE AAP KO AB PYAAR NAHIIN HAI, 6 March 2004

Maanaa ki ham se aap ko ab pyaar nahiin hai
Kyaa ab bachaa kucch ham se sarokaar nahiin hai

Haq dil pe aap ke na ab jataayeinge kabhii
Milnaa kabhii kabhii to nagavaar nahiin hai

Kyuun ham se is kadr muhn modte hain aap
Itnaa to sang baithnaa dushwaar nahiin hai

Gaahe bagaahe chand lamhe diijiye ham ko
Kyaa dil pe apne aap ko aitbaar nahiin hai

Kaise samajh lein tuut gaye saare hasiin rishte
Kismat mein kyaa ab aap ka diidaar nahiin hai

Hai meraa chaaraagar siwaai aap ke ab kaun
Kyaa dil ye lagtaa aap ko biimaar nahiin hai

degaa panaah kaun kis ke dar main jaauun ab
jab aap saa bhi meraa khariidaar nahiin hai

Angulii pakad paunchaa pakdne ka na kiije dar
Kyaa aap pe kucch meraa akhtiyaar nahiin hai.

M C Gupta
6 March 2004











९८. AAP NE HAM KO KYON DIIWAANAA BANAAYAA HAI, 15 March 2004


Aap ne ham ko kyon diiwaanaa banaayaa hai
Shamma pe jalne ko parwaanaa banaayaa hai

Aankhon mein merii ab to bastii hain terii aankhein
suurat ka mujhe apnii mastaanaa banaayaa hai

Ab kaabuu nahiin dil par hai aisaa ajab aalam
Ham ko khud apne se begaanaa banaayaa hai

jab se jujhe dekhaa hai ham bhuul gaye piinaa
nazron ko terii ham ne maikhaanaa banaayaa hai

sad ke main tere gam ke yuun Khalish mohabbat ne
duniyaa ke sabhii gam se anjaanaa banaayaa hai

MC Gupta
15 March 2004
















९९. TERII YAAD DIL MEIN LIYE JAA RAHAA HUUN, 15 March 2004


Terii yaad dil mein liye jaa rahaa huun
Gunaah khubsuurat kiye jaa rahaa huun

Abhii gam judaayii ka sahnaa hai baakii
Tujh se bicchuD kar jiye jaa rahaa huun

Ruswaa na hoge ye waadaa hai meraa
HoThon ko apane siye jaa rahaa huun

Kaabil tere pyaar ke ban na paayaa
Sharamsaar khud par hue jaa rahaa huun

nahiin ab bachii koii ummiid baakii
Zahar zindgii ka piye jaa rahaa huun

Khalish tuu salaamat rahe ho jahaan bhii
Duaa tujh ko apnii diye jaa rahaa huun.

MC Gupta
15 March 2004















१००. NA TUJH KO APNAA KAH PAAYE, 15 March 2004


Na tujh ko apnaa kah paaye, na ham tere hii ho paaye
mil kar bhii na hans paaye, bicchud kar bhii na ro paaye

Tere khyaalon mein yuun bhuule, tere khwaabon mein yuun khoye
subah ko ham na jag paaye, na ham raaton ko so paaye

yaadein pyaar kii daulat hain lekin ye hasiin daulat
Na ham dil mein hii rakh paaye, na is ko dil se kho paaye

Mohabbat mein bahut armaan pale the kabhii ham ne
Na un ko dafn kar paaye na sapnon mein sanjo paaye

Nahiin shikwaa Khalish ham ko nibaah ham se na paaye ham
Kare aabaad tuu us ko tujhe kismat se jo paaye.

MC Gupta
15 March 2004









© Copyright 2008 Dr M C Gupta (UN: mcgupta44 at Writing.Com). All rights reserved.
Dr M C Gupta has granted Writing.Com, its affiliates and its syndicates non-exclusive rights to display this work.
Printed from https://shop.writing.com/main/books/entry_id/626789-Poems--ghazals-no-51-100-in-Hindi-script