Hindi poems in Hindi script, mainly ghazals, Serial no. 1-700 |
१५१. EK UMR BITAA KE DUNIYAA MEIN KYAA KHOYAA HAI KYAA PAAYAA HAI* Ek umr bitaa ke duniyaa mein kyaa khoyaa hai kyaa paayaa hai Kucch aise khayaalon ne mere dil ko aksar bharmaayaa hai Duniyaa ke chaman mein donon mile kucch phuul bhi aur kucch kaante bhi Phuulon ko ham ne baant diyaa kaanton ko gale lagaayaa hai Khushiyaan bhi miliin aur gam bhi mile muskaanein bhi aur aansuu bhi Kucch gam jo dil mein utar gaye wo hi meraa sarmaayaa hai Ek arsaa biit gayaa bichhaDe milnaa ab to mumkin hi nahiin Dil ab tak bhuul nahiin paayaa tum ne wo geet sunaayaa hai Maanind-e ajnabii ham chaahe duniyaa ki nazar mein rahaa kiye Kucch hogaa rishtaa yaad jise kar ke ye dil sharmaayaa hai Kahne ko bahut kucch hai yuun to par un se shikaayat kyaa kiije Kyon Khalish sabab puuchein un se jin ne ham ko Thukraayaa hai. * Posted to eb M C Gupta ‘Khalish’ 15 June 2004 १५२. KHAYAALON MEIN AAYE JAATE HAIN Khayaalon mein aaye jaate hain Wo dil mein samaaye jaate hain koii puuchhe un se kyon barbas wo ham ko sataaye jaate hain wo paas nahiin aate kyuunkar rah duur lubhaaye jaate hain wo jab se dil mein aan base ham khud ko bhulaaye jaate hain dar lagtaa hai ruswaaii se ham raaz chhupaaye jaate hain koi puuche un ka naam agar ‘dilbar’ batlaaye jaate hain Yuun karte ibaadat hain un ki ham jaan lutaaye jaate hain. Wo hain magruur-e-husn bahut ham ko thukraaye jaate hain ho kar dil se laachaar Khalish ham haal sunaaye jaate hain. MC Gupta 16 June 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १५३. BHIIGII PALAK HAIN DIL BHI DHADKE SAMHAL SAMHAL KE Bhiigii palak hain dil bhi dhadke samhal samhal ke Aansuu nikal rahe hain raste badal badal ke Katraa-e-aab mere ashkon ko tum na samjho Aankhon se gir rahe hain hissa-e-dil pighal ke Jo zindgii ko merii barbaad kar gayiin hain Jaayeingii kab wo hasrat dil se mere nikal ke Wo na nibaah sakeinge wasl-o-wafaa ke waade Kab tak guzar karein ham baaton se hi bahal ke Un jhiil se bhi gahrii aankhon mein duube aise Khud se gaye Khalish ham, ekbaargii fisal ke. MC Gupta 8 July 2004 १५४. JO DIL DAAGON SE CHHALNII HAI WO DIL AURON KO DEGAA KYAA jo dil daagon se chhalnii hai wo dil auron ko degaa kyaa khud jis ke man mein aag lagii auron kaa taap haregaa kyaa tum vimukh raho chaahe mujh se ilzaam magar ye mat denaa jo khud hi chhalaa gayaa jag mein auron ko bhalaa chhalegaa kyaa jo band rahaa ho jiivan bhar duniyaa ke kaaraagaaron mein bedii khulne par ant samay do pag bhi dagar chalegaa kyaa kar ke bhi jatan jis ke man kaa konaa suunaa hi sadaa rahaa auron ke man ka suunaapan aisaa insaan bharegaa kyaa ab ritu vasant ki nikal gayii aur baag sajaa hai patjhad se is kafan ki belaa mein socho piitaambar Khalish sajegaa kyaa. MC Gupta 8 July 2004 १५५. BHUULII SI KOI SUURAT YAADON MEIN MEHAKTII HAI Bhuulii si koi suurat yaadon mein mehaktii hai Jiivan ke andheron mein ek shamma chamaktii hai Koi yaad hai jo mere dil par mandraatii hai Khyaalon mein mere zaahir hone se jhijhaktii hai Bebas hai kinaaraa ke wo hil bhi nahiin saktaa taktaa hai lahar ko jo milne ko tarastii hai waadaa to wafaa ka wo karte hain bahut lekin berukhii magar un ki aankhon se jhalaktii hai duniyaa se chhupa rakkhii hai piir mohabbat ki tanhaaii ke aalam mein ashkon se barastii hai wo Khalish na chhodeinge silsilaa zafaaon ka kyaa kiije wafaa phir bhi un par hi machaltii hai. MC Gupta 'Khalish' www.writing.com/authors/mcgupta44 12 July 2004 १५६. ZINDAGII WAHII HAI PAR SHAAM-O-SAHAR BADAL GAYE Zindagii wahii hai ke shaam-o-sahar badal gaye Ham wahii hain aaj bhii kyon wo magar badal gaye Hai gawaah maazii kabhii donon bane the ham-safar Hain musaafir aaj bhi raste magar badal gaye Jaam jin ki aankh se piiyaa kiye ham baarhaa Bhar nazar mein aaj kyon kaatil zahar badal gaye ek pal mere bagair thaa jinhein jiinaa muhaal aaj mahfil mein wo churaa ke nazar badal gaye pyaar ke manzar mein gaafil ban ke ham pade rahe Un ke hi magar Khalish rahguzar badal gaye. M C Gupta ‘Khalish’ 14 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १५७. DO DIN KO AAYE AUR LUBHAA KAR CHALE GAYE Do din ko aaye aur lubhaa kar chale gaye Wo mere dil ko apnaa banaa kar chale gaye Hai guunjtaa gahraaiyon mein dil ki ab talaq Nagmaa-e-mohabbat wo sunaa kar chale gaye Dikhte hain mujh ko ab bhi tasavvur-o-khwaab mein Suurat merii aankhon mein basaa kar chale gaye Ham jaante hain wo na lauteinge kabhii lekin Na khatm ho jo aas dilaa kar chale gaye Sahraa ki tapish mein bhi jo thandak diyaa kiye Kucch aise sabz baag dikhaa kar chale gaye Khud to gaye Khalish magar fitrat to dekhiye Marne ki hamaarii bhi dawaa kar chale gaye MC Gupta 14 July 2004 १५८. AAYE HAIN ZINDGII MEIN KUCCH AISE MUKAAM BHII Aaye hain zindgii mein kucch aise mukaam bhii Mahbuub ne zahar ke pilaaye hain jaam bhii Aate nahiin hain baaz nasiihat se aaj jo Un se kahe koii kabhii wo the jawaan bhi Wo hain safedposh un ka paak hai libaas Kaale chhupe hue hain magar is mein kaam bhii Un ke uthaaye naaz aur ruswaa bhi ham hue Milte hain mohabbat mein kabhi intekhaam bhi Karte rahe ab tak merii nigaah se gilaa Kiije kabuul aakhirii meraa salaam bhii Kahtaa hai but-parast ab Khalish ko zamaanaa Jab se khudaa ke saath liyaa un ka naam bhi. M C Gupta 15 July 2004 १५९. . ZINDGII SE IS KADAR TANG AA GAYAA HUUN MAIN Zindgii se is kadar tang aa gayaa huun main Apnii hi suurat dekh kar ghabraa gayaa huun main Wo chand lamhe zindgii thi ruk gayii jahaan Paa ke tasavvur mein unhein sharmaa gayaa huun mein Kar ke rakhaa tha band jis ko puure jatan se Maajii se apne aaj phir takraa gayaa huun main Aataa nahiin kyonkar abhii mujh par tumhein yakiin Sau-sau tarah sau-baargii parkhaa gayaa huun main Ye khel zafaa-o-wafaa ka dekh kar un kaa Pur-hosh ho kar bhi Khalish chakraa gayaa huun main. MC Gupta 15 July 2004 १६०. ZINDGII TUJH PAR NA AB MERAA YAKIIN HAI Zindgii tujh par na ab meraa yakiin hai Bewafaa paayaa hai jo chehraa hasiin hai Gul khile parde ke piichhe lakh rang ke Jaante hain wo bahut pardaa-nashiin hai Dhhundhiye matlab na kucch ashaar mein mere Andaaz merii shaayarii ka kucch mahiin hai Ban ke tuu muriid dekh ek-baargii Pur-asar hogii duaa Allah kariim hai Dil agar paakiizgii se hai Khalish roshan Ek wahii insaan sab se behtariin hai. M C Gupta ‘Khalish’ 16 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६१. MAIN NAGMAA MOHABBAT KA GAATAA RAHAA main nagmaa mohabbat ka gaataa rahaa dushmanon se main dil ko lagaataa rahaa Zindgii paas mujh ko bulaatii rahii main kadam-dar-kadam duur jaataa rahaa dekh aalam-e-barbaadi chaaron taraf ho ke be-fikr main muskaraataa rahaa khauf-e-Allah basaa jab se dil mein mere khauf-e-duniyaa se kucch bhi na naataa rahaa rishte naate sabhii tuut gaye hain Khalish sirf naataa meraa aur khudaa ka rahaa. MC Gupta ‘Khalish’ 18 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६२. AATH PAHAR CHAUNSATH GHADII* Aath pahar chaunsath ghadii le ke teraa naam Milaa bhalaa kyaa pyaar mein muft hue badnaam Ham samjhe the pyaar mein hote hain dil ek Ek hamein tum ho magar ham se tumhein anek Hamein mohabbat na milii khoj rahe din rain Duur raho is balaa se suno hamaare bain Chaar dinon ki zindgii hridaya milaa hai ek Lagaa ise hari bhajan mein maan salaah ye nek Ye sansaar asar hai ishq wafaa sab jhuuth Bhaj saaiin ko Khalish tuu tan mein ramaa bhabhuut. *A collection of DOHAs MC Gupta ‘Khalish’ 18 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६३. NA CHHUPAA SAKE HAM CHOT HI Na chhupaa sake ham choT hi Na hilaa sake ham hoTh hi na zindgii raas aa saki na paa sake ham maut hi manzil ko na pahunche kadam na aa sake ham laut hi na kar sake ham sach bayaan na milaa sake ham khot hi na maat un ko de sake na bachaa sake ham got hi na zahar miithaa ugal sake na bhar sake ham ghuunt hi MC Gupta ‘Khalish’ 20 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६४. EK DIN TO CHALE JAAYEINGE HAM IS DUNIYAA SE RUKHSAT LE KAR Ek din to chale jaayeinge ham is duniyaa se rukhsat le kar Afsos zamaane ki lekin jaayeinge bahut tohmat le kar Tuufaan to hamaare dil mein bhi uth-taa hai pyaar ke jazbon ka Dil ka saudaa kaise kar lein mohron mein magar kiimat le kar Paakiizgii pyaar mein na ho agar aayegi wafaa ki buu kaise Taa-umr na khush rah paayeinge bas ek mahaz ulfat le kar Hai pyaar bahut un se ham ko par kaise Khalish ham kho jaayein Naaz-o-andaaz ki duniyaa mein sab kaam se go fursat le kar. MC Gupta ‘Khalish’ 23 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६५. MUJHE MILAA HAI SADAA ANDHERAA IS JIIVAN KI RAAHON MEIN mujhe milaa hai sadaa andheraa is jiivan ki raahon mein Jag mein milaa sahaaraa mujh ko kewal gam ki baahon mein Umr biit gayii kisii nazar mein paayaa maine pyaar nahiin Mujh ko jhalak milii nafrat ki duniyaa terii nigaahon mein Duniyaa ke har mod pe mujh ko chhalaa sabhii ne baarambaar Ek salaah sacchhii na paayii maine laakh salaahon mein Jhadii lagii saawan ki ritu mein bhiitar bhi aur baahar bhi Yuun to ankhiaan barsii merii aviral baarah maahon mein Mrig trishnaa mein biit gaye din saare mere jiivan ke Chaah ek bhi huyii na puurii Khalish hazaaron chaahon mein M C Gupta ‘Khalish’ 23 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६६. MUJHE MAUT BHI AATII NAHIIN JIINAA MUJHE DUSHWAAR HAI Mujhe maut bhi aatii nahiin jiinaa mujhe dushwaar hai Milii thokrein mujh ko magar paayaa na maine pyaar hai Tum ko basaayaa dil mein lekin ho nazar se duur tum Kabhi aaoge jaanib mere is dil ko ye etbaar hai meraa yakiin shaayad na ho tum apne dil se puuchh lo Jo jal gaye ban ke shamma meraa naam un mein shumaar hai Fursat mile kabhi tum ko apnii zindgii ke daur se Aiye chaaraagar na bhuulnaa koi teraa bhi biimaar hai Jiinaa nahiin mumkin Khalish tum se bicchud kar ek pal Tere hi dam se har taraf ye mausam-e-bahaar hai. M C Gupta ‘Khalish’ 24 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६७. WO NAAZ-O-ADAA SE JAB CHHUP KAR MUSKAATE HAIN Wo naaz-o-adaa se jab chhup kar muskaate hain Ek tiir mohabbat ka siine pe chalaate hain Inkaar bhi karte hain iqraar ke lahaze mein Naazuk se bahaane wo kyaa khuub banaate hain Wo jaante hain apne rukhsaar ki fitrat ko Bujh rahe chiraagon ko roshan kar jaate hain Gash khaa ke gire chaahe un ka koi diiwaanaa Un ko itraanaa hai wo to itraate hain Maslaa ye mohabbat ka kyon Khalish hai pechiidaa Kucch ham sharmaate hain kucch wo sharmaate hain. M C Gupta ‘Khalish’ 26 July 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६८. JAB SAAMNE UN KO PAAYAA TO DIL MERAA KUCCH GHABRAA HI GAYAA Jab saamne un ko paayaa to kucch dil meraa ghabraa hi gayaa Ek lafz sunaa un ke lab se, chehraa meraa sharmaa hi gayaa Yuun to ahsaas-e-tasavvur mein har waqt mere sang rahte hain Aayaa jab khyaal tanhaaii mein dil ko mere tadpaa hi gayaa Ham duur se to aksar un ko is dil ki salaamii dete the Par un ka mukhaatib ho jaanaa aanchal ko mere sarkaa hi gayaa Milne ki duaa karte karte jab milnaa huaa meraa un se Wo khushii ka aalam kyaa kahiye ashk aankhon se tapkaa hi gayaa Huii hijr ki raat khatm aakhir aur wasl ka lamhaa yuun aayaa Barson se suukhe sahraa mein ek saavan sa barsaa hi gayaa Apne siine mein ham ne jo armaan chhupaa kar rakhe the Puure wo khalish ab kyaa honge jab waqt-e-rukhsat aa hi gayaa. M C Gupta ‘Khalish’ 31 July, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १६९. YAADON MEIN KISII KII TUM KAB TAK GAHRAAOGE Yaadon mein kisii kii tum kab tak gahraaoge Aankhon se bhalaa kab tak yuun ashk bahaaoge Chehre pe likhaa hai gam hothon pe hansii jhuthii Kab tak duniyaa se tum nazron ko churaaoge Maazii ke khayaalon mein gum rahte ho har dam Darpesh hakiikat ko kab tak thukraaoge Jo chalaa gayaa us ko na laut ke aanaa hai Taswiir se tum kab tak dil ko bahlaaoge Hai shab ka andheraa to din ka bhi ujaalaa hai Tum badho ujaale mein warnaa pacchtaaoge Ruk jaataa hai insaan par waqt nahiin ruktaa Asliyat Khalish kaise tum ye jhuthlaaoge. M C Gupta ‘Khalish’ 31 July, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १७०. KHUD KO LAGAA LIYAA YE MARZ EK BAAR HAI Khud ko lagaa liyaa ye marz ek baar hai Ye laa-ilaaz hai hamein ye etbaar hai Chaahein bhi to jaane na de apne se ham ko duur Aataa bhi nahiin paas ajab meraa yaar hai Maanaa ki ham nahiin hain un ko aaj kal pasand Ham ko to un se aaj bhi utnaa hi pyaar hai Muddat huii kinaaraa ham se kar chuke hain wo Milne ko un se ab talak dil bekaraar hai Ta-umr jo ham se rahaa parde mein duur-duur Royaa wo be-nakaab-e-kabr zaar-zaar hai Laut aao Khalish wo paraaye ho gaye ab to Kab tak kahoge ham ko un ka intezaar hai. M C Gupta ‘Khalish’ 3 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १७१. AAWAAZ KISII DIL KI MUJH TAK NA AANE DO Aawaaz kisii dil ki mujh tak na aane do Duniyaa ke andheron mein mujh ko kho jaane do Mahfil ke ishaare par naachaa hai bahut maine Kuchh kadam mujhe dil ki lai par thirkaane do Sah gaye sabhii hans kar ham zulm zamaane ke Jo tod de dil meraa tum to na wo taane do Rasmon ki diwaaron mein kucch band hue aise Chaah kar ke na ud paaye bebas parwaane do Aiye khush ho zamaane tuu takraa na sake tujh se So gaye hameshaa ko naadaan diwaane do Ab tak tanhaaii mein bas ashq bahaaye hain Ek bar mohabbat mein ham ko muskaane do. Jo tum ne kahaa likhaa jo tum ne kahaa gaayaa Koi raag Khalish apne dil se bhi sunaane do. M C Gupta ‘Khalish’ 3 August, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १७२. AAYE THE BAHAARON SE JAAYEINGE KHIJAAON MEIN आये थे बहारों से जायेंगे खिजाओं में, Aaye the bahaaron se jaayeinge khijaaon mein Iinaam wafaaon ka paayaa hai zafaaon mein In pyaar ki raahon ki shuruaat na manzil hai Jiite hain yahaan aashik ashkon aur aahon mein Ilzaam bahut yuun to ham par hain zamaane ke Ek dil ka lagaanaa bhi shaamil hai gunaahon mein Diiwaanaa bhale duniyaa kah kah ke sataatii hai Bas ek hi suurat hai aashik ki nigaahon mein Masjid bhi jaate hain roze bhi nibaahte hain Rakhte hain tamannaa ye maashuuk ho baahon mein Ummiid hai ham pe bhi ek din to karam hogaa Baithe hain Khalish terii galiyon ki raahon mein. M C Gupta ‘Khalish’ 4 August, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 Jo dawaa na kar paaye hai asar duaaon mein १७३. JAAN JAATII RAHII DAM NIKALTAA RAHAA jaan jaatii rahii dam nikaltaa rahaa kaarwaan us ka aage hi chaltaa rahaa baat dil ki na kah paaye us se kabhii waqt milne ka yuun hi guzartaa rahaa aankh giilii zamaane ke dar se na kii dard andar hi andar pighaltaa rahaa zaahiraanaa satah par na aayaa kabhii Pyaar dil mein hameshaa umadtaa rahaa bad-nazar ki kisii ki nazar na lage Ruup bin aaine ke sanwartaa rahaa Us ke chehre ki rangat ko padhte rahe Baag sapnon ka phaltaa ujadtaa rahaa Kyaa bataayein Khalish haal-e-dil kis tarah Raah-e-ulfat mein bantaa bigadtaa rahaa. M C Gupta ‘Khalish’ 4 August, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १७४. KYON KAHTE HO DARD KISII SE APNAA TUM kyon kahte ho dard kisii se apnaa tum dekh rahe ho ham-dardii ka sapnaa tum jaal bichhaaye baithii hai kaatil duniyaa fuunk-fuunk ke kadam yahaan par rakhnaa tum dost tumhaare ghaat lagaaye baithe hain apnon ki hi talwaaron se bachnaa tum wafaa zafaa mein dhal jaatii hai pal bhar mein rukhsaaron ka nahiin bharosaa karnaa tum Rasm riwaaz bade mazbuut hain duniyaa ke In ko mat samjho aasaan badalnaa tum Dagar pyaar ki Khalish bharii hai kaanton se Kyon chaahte ho in raahon par chalnaa tum. M C Gupta ‘Khalish’ 8 August, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १७५. SANG TUMHAARE BAHUT ROZ CHALTAA RAHAA Sang tumhaare bahut roz chaltaa rahaa Pyaar ka diip bujhtaa aur jaltaa rahaa Raat kitnii andherii guzartii rahiin Har subah ek suuraj nikaltaa rahaa Zindgii kii umar yuun hi ghat-tii rahii Manzilon ko main har din badaltaa rahaa Duur manzil lagaataar hotii gayii Jitnaa zaanib-e-manzil main badhtaa rahaa Is taraf ham mohabbat mein lutate rahe Us taraf ruup un ka sanwartaa rahaa Tod daalaa Khalish dil meraa shukriyaa Naasamajh muddaton se machaltaa rahaa. M C Gupta ‘Khalish’ 8 August, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १७६. MUJHE JAB SHAAM AATII HAI BAHUT TAKLIIF HOTII HAI Mujhe jab shaam aatii hai bahut takliif hotii hai Pareishaan zindgii ko aur bhi gam mein bhigotii hai Ujaale ki mulaakaaton mein din to kat hi jaataa hai Siah raaton mein tanhaaii mujhe nashtar chubhotii hai Tasavvur mein kisii aahat kisii jhonke kisii shai se Terii yaad aatii hai to ashq kii maalaa pirotii hai Dhalaa thaa waqt-e-rukhsat jo tadaptii aankh se aansuu Khazaane mein terii yaadon ke wo naayaab motii hai Huii muddat kinaaraa kar gaye ho zindgii se tum Khalish taswiir terii tak ke nazar aaj rotii hai. M C Gupta ‘Khalish’ 9 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १७७. WO NAZAR SE BAHUT DUUR JAATE RAHE Wo nazar se bahut duur jaate rahe Dil ki gahraaiyon mein samaate rahe Paas the jab talak un ke shikwe bhi the Baad rukhsat sirf dil lubhaate rahe Sard tanhaaiyon mein siah raat kii Koi nagmaa suriilaa sunaate rahe Thaa bicchud ke bahut un se jiinaa kathin Yaad mein un ki sab gam bhulaate rahe Un ko tasavvur mein dekhaa kiye Ban ke diivaane ham muskaraate rahe Bhuulne ki to koshish bahut kii magar Aur ziyaadaa khayaalon mein aate rahe Dard-e-dil ko chhupaane ko jhuuthii hansii Ham Khalish is jahaan ko dikhaate rahe. M C Gupta ‘Khalish’ 9 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 NOTE—See 128 for same radiif १७८. आज़ाद वतन अपना करा कर चले गये- sent to EK on 17-Aug for 16-8-06 http://www2.writing.com/main/view_item/item_id/1057265 आज़ाद वतन अपना करा कर चले गये अपना लहू चमन में बहा कर चले गये आज़ादी का है जश्न तुम कर लो उन्हें भी याद जो जान को वतन पे चढ़ा कर चले गये वो नौजवान सूरमा इस देश की खातिर सरमाया ज़िन्दगी का लुटा कर चले गये आज़ादी का दरख्त जो पनाह दे रहा वो उस का बीज खुद ही लगा कर चले गये दो बून्द उन की याद में तुम आज बहा लो हम को जो गुलामी से छुडा़ कर चले गये वो भी खलिश थे अपनी बूढ़ी माँ के चश्म-ए-नूर हँस के चढ़े सूली पे, रुला कर चले गये. महेश चन्द्र गुप्त खलिश १४ अगस्त २००४ aazaad hindustaan karaa kar chale gaye apanaa lahuu chaman mein bahaa kar chale gaye kar lo unhe^ bhee yaad aazaadii ke jashn par kurbaaniyaan jo apanee chaDhaa kar chale gaye wo naujawaan sooramaa is desh kee khaatir saramaayaa zindgii ka lutaa kar chale gaye aazaadee kaa darakht jo panaah de rahaa wo us kaa beej khud hee lagaa kar chale gaye do boo^d un kee yaad mein tum aaj bahaa lo ham ko jo gulaamee se chhuDaa kar chale gaye wo bhi Khalish the apani buuDDhii maan ke chashm-e-noor hans ke chaDhe soolee pe rulaa kar chale gaye. M C Gupta ‘Khalish’ 14 August 2004 १७९. ZAHAR KE GHUUNT HI TAA-ZINDGII PIITAA RAHAA HUUN MAIN Zahar ke ghuunt hi taa-zindgii piitaa rahaa huun main Faqt do pyaar ke bolon se bhii riitaa rahaa huun main Mujhe maaluum hai rishtaa hamaaraa ab nahiin kaayam Na jaane phir bhi kis ummiid mein jiitaa rahaa huun main Zamaanaa chaak mere dil ko kartaa hi rahaa har dam Phate dil mein mahaz paiband hi siitaa rahaa huun main Isii ummiid mein ek baar waadaa un ka sach nikle Bahut shab un ki yaadon mein uniindaa rahaa huun main Nafrat hii milii mujh ko Khalish sab ki nigaahon se Kisii dilbar ki nazaron ka nadiidaa rahaa huun main. M C Gupta ‘Khalish’ 15 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८०. DIL KI TAMANNAA KO DIL MEIN HI CHHUPAATE HAIN dil ki tamannaa ko dil mein hi chhupaate hain ham pyaar ki shamma ko chup-chaap jalaate hain wo pyaar to karte hain kyon jaane magar phir bhi izhaar-e-mohabbat se itnaa sharmaate hain zaahir to zamaane mein rahte hain wo parde mein be-pardaa ho kar ke wo khwaab mein aate hain ye sitam mohabbat ke aashiq hi samajhte hain jitnaa paas aate hain utnaa tadpaate hain koi puuchh-taa hai ham se gam-e-dil ka sabab kyaa hai gam dil ki fitrat hai itnaa hi bataate hain poshiidaa Khalish kaise ye raaz rahe dil ka koi naam agar le de un ka to lajaate hain. M C Gupta ‘Khalish’ 18 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८१. HAM UN KI MOHABBAT MEIN BARBAAD HUE KAISE Ham un ki mohabbat mein barbaad hue kaise Batlaa bhi nahiin sakte haalaat hue kaise Hain sanam bahut bhole kucch khabar nahiin un ko Baa-karam khushii un ki naashaad hue kaise Ham un ki gulaamii mein khud ko hi mitaa baithe Badle hue un ke ye andaaz hue kaise Naazon pe hamaare wo jo jaan bicchhaate the Kyaa khataa huii ham se naaraaz hue kaise Jab Khalish saamne thii manzil wo mohabbat kii Tab tarq-e-mohabbat ke aagaaz hue kaise. M C Gupta ‘Khalish’ 20 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८२. HAM UN SE MUKHAATIB HAIN KUCCH KAH BHI NAHIIN SAKTE Ham un se mukhaatib hain kucch kah bhi nahiin sakte Chup-chaap magar gam ko ham sah bhi nahiin sakte Ek katraa nahiin khuun ka ashkon se bharaa hai dil Laachaar mere aansuu par bah bhi nahiin sakte Dil ki mazbuurii ka aalam hai azab aisaa Ham binaa sitam-gar ke to rah bhi nahiin sakte Ehsaas to hai ham ko ham pyaar ke bangle ki Kamzor diwaarein hai par dhah bhi nahiin sakte Mahfil mein Khalish khul jaayegaa raaz mohabbat ka Ashaar pe ham un ke de shah bhi nahiin sakte. M C Gupta ‘Khalish’ 20 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८३. HAM DIL KI TAMANNAA KO HOTHON PE NAHIIN LAATE Ham dil ki tamannaa ko hothon pe nahiin laate Pii jaate hain ashkon ko palkon pe nahiin laate Rasmon ko mohabbat ki ham khuub nibaahte hain Rishton ki nazaakat ko sadkon pe nahiin laate Parde mein machalte hain andaaz mohabbat ke Dastuur-e-tanhaaii ko mazmon pe nahiin laate Ulfat ke ishaare pe ham jaan lutaate hain Ham pyaar ke saude ko sharton pe nahiin laate Paigaam-e-mohabbat hai mazbuun ka nahiin kaayal Nazron se bataate hain harfon pe nahiin laate Mat bhejo Khalish tum khat kaasid ka bharosaa kyaa Dastaan-e-mohabbat ko warkon pe nahiin laate. M C Gupta ‘Khalish’ 20 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८४. MAAFIK NAHIIN HAI JAAM TO PII KE KAREINGE KYAA Maafik nahiin hai jaam to pii ke kareinge kyaa Ham ko na mil sake jo tum jii ke kareinge kyaa Aansuu bahaane ke siwaai tuutne pe dil Tum hi kaho ye nain do bhiige kareinge kyaa Miithe hi vachan bolnaa duniyaa mein hai waazib Miithe agar hain be-asar tiikhe kareinge kyaa Baajuu mein ho shamshiir to phir jor bhi to ho Dil ke ishaare sirf ye phiike kareinge kyaa Chole se pyaar zindgii ke kyon Khalish itnaa Jo taar-taar ghis chukaa sii ke kareinge kyaa. M C Gupta ‘Khalish’ 20 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८५. आये थे कहां से हम किस राह को जाना है —RAS--ईकविता, ५ मई, २००८ आये थे कहां से हम किस राह को जाना है कुछ ऐसे सवालातों का राज़ बताना है जिस दिल में हुयी रौशन है लौ-ए-ख़ुदा उस को मन्दिर, मस्जिद, गिरज़ा तो सिर्फ़ बहाना है राम और रहीम, ईसा हैं अलग ज़माने को ये नाम हैं इक रब के सब को समझाना है इन तीनों में किस का है नाम बुलन्दी पर ये बहस है बेमानी जग को बतलाना है हीरे की तरह जिस को तस्बीह के दाने हैं उस ख़ुदा के बन्दे को हर नाम सुहाना है सच्ची है परस्तिश तो क्यों नाम की परवाह है दो नाम उसे कुछ भी पैग़ाम पुराना है मन्दिर मस्जिद गिरज़ा में राम रहीम ईसा तीनों ही बसते हैं सर उन्हें झुकाना है कोई और ख़लिश सूरत दिल में न बसाओ तुम इंसां की इबादत में क्यों लगा ज़माना है. महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश ३० अगस्त २००४ AAYE THE KAHAAN SE HAM KIS RAAH KO JAANAA HAI Aaye the kahaan se ham kis raah ko jaanaa hai Kucch aise sawaalaaton ka raaz bataanaa hai Jis ke dil mein jaltii ho lau-e-khudaa us ko Mandir masjid girzaa to ek bahaanaa hai Duniyaa kahtii hai alag hain Ram, Rahiim, Iisaa Ye naam hain ek rab ke sab ko samjhaanaa hai Hai naam buland kis kaa ye jang hai be-maanii Mazhab ke liye kitnaa aur khuun bahaanaa hai Hiire ki tarah jis ko tasbiih ke daane hain Us khudaa ke bande ko har naam suhaanaa hai Mohtaaj nahiin naamon ki sacchii ibaadat hai Kucch naam na do us ko paigaam puraanaa hai Mandir masjid girzaa ho Ram Rahiim Iisaa Sazde mein jhukaa do sar kyuunkar sharmaanaa hai Kyaa karnaa aur Khalish suurat ho basii dil mein Bekaar hai ye duniyaa bekaar zamaanaa hai. M C Gupta ‘Khalish’ 30 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८६. HAM KO NA MILAA KOII HAMDARD ZAMAANE MEIN Ham ko na milaa koii hamdard zamaane mein Un ko jo bulaayein to parhez hai aane mein Wo kucch farmaayein to, wo tiir chalaayein to Ummiid mein kab se dil rakhaa hai nishaane mein Hai duur bahut manzil aur un ko nahiin fursat Ek umr guzar jaayegii un ko bulaane mein Ham to apne dil ko kah ke samjhaa leinge Thii kasar hamaarii hi kucch un ko manaane mein Gul kar do charaag ab to tum Khalish ummiidon ke Rakhaa hai kyaa naahaq dil ko bahlaane mein. M C Gupta ‘Khalish’ 30 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८७. HO GAYE PARAAYE WO UN KO NAHIIN AANAA HAI Ho gaye paraaye wo un ko nahiin aanaa hai Mushkil ye magar dil ko kitnaa samjhaanaa hai Haalaat se kucch kar lo ab to samjhautaa tum Kab tak ummiidon se dil ko bahlaanaa hai Paanii ki buundon se haasil ab honaa kyaa Bekaar nigaahon se ashkon ko bahaanaa hai Silsile zamaane ke kyon dil se lagaate ho Ek dhund se aaye the ek dhund mein jaanaa hai Ek umr huii un ke go tarq-e-ta-aalluq ko Rishtaa-e-wafaa kab tak aiye Khalish nibaahnaa hai. M C Gupta ‘Khalish’ 30 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 SILAA-E-DOSTII १८८. KYAA KAHIYE BHALAA AISE ULFAT KE FASAANE KO Kyaa kahiye bhalaa aise ulfat ke fasaane ko Dil tod ke karte hain gumraah zamaane ko Ruuthe jo rahe ham se be-baat ki baaton pe Aaye hain kabr pe wo lillah manaane ko Jab tuut gayaa dil to phir dil mein khushii kaisii Hai lab pe hansii jhuuthii yuun hii dikhlaane ko Chadh jaayeinge suulii pe diije jo munaasib ho Haazir hain sazaa apne zurmaat ki paane ko un ke haathon pyaalaa ham zahar ka pii leinge jo jam mohabbat mein dete the pilaane ko Ye wasl ki ghadiyaan bhi ab hijr ki maanind hain Duniyaa se Khalish ham to tayyaar hain jaane ko. M C Gupta ‘Khalish’ 30 August 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १८९. KABHII HAM SE MILE THE AAP KHUD HAM PE FIDA HO KAR Kabhii ham se mile the aap khud ham pe fida ho kar Na jaane zindgii kaise kategii ab judaa ho kar Bhulaa paayeinge kaise jo guzaare sang the lamhe Bhulaa dein aap chaahe ham ko dil se bewafaa ho kar Nazar mein aaj chaahe aap ki nafrat ke kaabil hain Nazar kaise churaa lein aap ke ham dilrubaa ho kar Na jaane zindgii le jaayegii kis mod pe ham ko bahaayeinge bahut aansuu tumhaare gam-shudaa ho kar Khataa kucch to hamaarii pesh jaane ke bataa diije Tumhii se puuchhte hain ab Khalish ham sar-giraan ho kar M C Gupta ‘Khalish’ 3 Sept 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 वो हमें मनाने आये थे और देखो ख़ुद ही रूठ गये रो-रो कर हमसे किये सभी वो वादे उनके झूठ गये वो जाम तो ले कर आये थे होठों से लगाया भी हमने कुछ बात हुयी ऐसी लेकिन बन ज़हर सरीखे घूंट गये रस्म और रिवाज़ ज़माने के उल्फ़त के सारे दुश्मन हैं ज़ुल्मों को सहते-सहते ही दो दिल बेचारे टूट गये १९०. WO HAM KO MANAANE AAYE THE AUR HAM SE HI WO RUUTH GAYE Wo ham ko manaane aaye the aur ham se hi wo ruuth gaye Waade jo ham se kiye the wo waade sab un ke jhuuth gaye The jaam to le kar aaye wo hothon se lagaayaa bhi ham ne Kucch baat hi aisii ban baithii ki zahar ki maafik ghuunt gaye Ye ishq ke dushman hain saare rasm aur riwaaz zamaane ke Kab tak sahte wo zulm bhalaa do dil bechaare tuut gaye Ek kaarwaan le kar ke ham bhi nikle sahraa mein tizaarat ko Aayaa aisaa tuufaan kidhar ham kidhar hamaare uunt gaye Auron se gilaa kiije kyuunkar is aalam-e-khudgarzii mein Apne bhi kinaaraa kar baithe sangii-o-sahare chhuut gaye Aiye Khalish ye khel mohabbat ka kucch hai jyaadaa hi pechiidaa Aaye the hamein wo dil dene aur dil hi hamaaraa luut gaye. M C Gupta ‘Khalish’ 6 September 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १९१. MOHABBAT KI KHAATIR JIYE JAA RAHAA HUUN Mohabbat ki khaatir jiye jaa rahaa huun Adaa farz apnaa kiye jaa rahaa huun Nahiin kucch liyaa hai tujh se zamaane Faqt chand yaadein liye jaa rahaa huun Mubaarak tumhein daur faiz aur mai ka Main ashkon ka pyaalaa piye jaa rahaa huun Gawaaraa nahiin lafz mere kisii ko Labon ko main apne siye jaa rahaa huun Khalish tum raho khush duaa hai ye merii Saugaat bas ye diye jaa rahaa huun. M C Gupta ‘Khalish’ 7 September 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १९२. KYAA JAANE UN NE KAH DIYAA HAM UN KE HO GAYE Kyaa jaane un ne kah diyaa ham un ke ho gaye Baaton mein un ki un ke khayaalon mein kho gaye Jab yaad aaii un ki aur wo na paas the Laaye tasavvur mein unhein do buund ro gaye Wo to na mil sake magar gam apne de gaye Ek zindgii mein bojh do ka kaise dho gaye Suurat dikhaa ke pal mein wo to ho gaye vidaa Taa-zindgii wo fasl-e-gam ka biij bo gaye Un se na milnaa ab Khalish ho payegaa kabhii Sah lo ye gam bhi ab tumhaare bhaag so gaye. M C Gupta ‘Khalish’ 11 September 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १९३. BADNAAM BAHUT HO KAR SANSAAR SE JAATE HAIN Badnaam bahut ho kar sansaar se jaate hain Kaandhe pe saliib apnaa ham khud hi uthaate hain Puuchhe jo koii ham se barbaad hue kaise Dastaan-e-mohabbat ham apnii hi sunaate hain Jo ham pe kabhii apnii jaan hans ke chhidakte the Pyaale wo zahar ke ab nazron se pilaate hain Dil ke jazbaaton ko dil mein hi tadapne do Naadaan hain wo aashiq jo chashme bahaate hain Dil tuut gayaa to bhii jiine ko to jii leinge Puuchho na magar kyon ham raaton ko karaahte hain Ab dil mein mohabbat ki hasrat hi nahiin baakii Nazron se Khalish un ki paigaam to aate hain. M C Gupta ‘Khalish’ 11 September 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १९४. ASHKON MEIN MOHABBAT KI LAACHAAR KAHAANII HAI Ashkon mein mohabbat ki laachaar kahaanii hai Nakaam rahii merii ulfat mein jawaanii hai Ek dhundhlii si suurat jo bujh-tii na ubhartii hai Ek tiis hai siine mein bas itnii nishaanii hai Koii dard meraa samjhe to khuun ke katre hain Bedard ki nazron mein bahtaa huaa paanii hai Khwaahish to hazaaron hain din chaar nahiin baakii Insaan ki fitrat mein aadat ye puraanii hai Ummiid wo rakhte hain naahaq hi Khalish ham se In aakhirii saanson mein ab kaisii rawaanii hai तर्ज़— संसार की हर शय का इतना ही फ़साना है एक धुँध से आना है एक धुँध में जाना है M C Gupta ‘Khalish’ 19 September 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १९५. पूछे न कोई हमसे क्यों अश्क बहाते हो पूछे न कोई हमसे क्यों अश्क बहाते हो तनहा रातों में क्यों चुपचाप कराहते हो झेले हैं सितम हमने, उफ़ तक न किया लब से क्यों हम पे ज़फ़ाओं का इल्ज़ाम लगाते हो ले लेंगे विदा खुद ही इक रोज़ ज़माने से गिरती दीवारों को बिन बात ढहाते हो था वक्त कोई हमसे जब तुम्हें मोहब्बत थी झूठा ही सही दिल से क्यों भरम हटाते हो क्या खता करी किसने क्यों तर्क हुआ रिश्ता रहने दो ख़लिश मसला बेकार उठाते हो. महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश १९ सितंबर २००४ तर्ज़— संसार की हर शय का इतना ही फ़साना है एक धुँध से आना है एक धुँध में जाना है १९६. KUCCH ZAKHM MERE DIL NE ULFAT MEIN UTHAAYE HAIN Kucch zakhm mere dil ne ulfat mein uthaaye hain Ham ne bhi mohabbat mein kucch ashq bahaaye hain Dil tod ke tuu meraa khush ho le zamaane ab Ham bhi hain shumaar un mein jo tere sataaye hain In pyaar ki raahon mein hain khaar bahut barpaa Chubh-te hain jo paaon mein wo tere bichhaaye hain Kis raah chale hain ham puuchhe na koi ham se Batlaayein bhalaa kaise ham hi bharmaaye hain Ye zindgii merii hai naakaam kahaanii si Ham Khalish bayaan kar ke khud hi sharmaaye hain M C Gupta ‘Khalish’ 19 September 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १९७. JAANAA THA AGAR TUM KO KAH KAR HI CHALE JAATE Jaanaa tha agar tum ko kah kar hi chale jaate Koi yaad tumhein dete jo sang hi le jaate Jiiyeinge bhalaa kaise ham tum se judaa ho kar Saugaat mohabbat ki koi ham ko diye jaate Kucch kahnaa hamaaraa gar maafiq na tumhein aayaa Ek baar zikr karte ham lab hi siye jaate Ham ko na shikaayat thii kar lete zafaa jitnii Ham uf na kabhii karte har zahar piye jaate Tum Khalish gaye jab se suunii hai meri duniyaa Laut aao sitam ham se nahiin aur sahe jaate. M C Gupta ‘Khalish’ 25 September 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १९८. हो के भी जुदा हमसे दिल में ही रहोगे तुम हो के भी जुदा हमसे दिल में ही रहोगे तुम हम से है मोहब्बत ये इक दिन तो कहोगे तुम नज़रों में बसे तुम ही सांसें भी तुम्हारी हैं कब तक परछाईं को यूं दूर रखोगे तुम दुनिया रोशन मेरी कर दो कि चले आओ वरना कह दो मेरा मातम न करोगे तुम हम जान की बाजी भी उल्फ़त में लगा देंगे जब कब्र पे आओगे आहें तो भरोगे तुम यूं ख़लिश अलग हो के तुम भी न रहोगे ख़ुश ये सितम तन्हाई के चुपचाप सहोगे तुम. महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश ३० सितंबर २००४ तर्ज़— संसार की हर शय का इतना ही फ़साना है एक धुँध से आना है एक धुँध में जाना है १९९. tum me^ aur ham me^ ab ek gazab kee dooree hai tum me^ aur ham me^ ab ek gazab kee dooree hai dil hai ki nahee^ sunataa kaisee mazabooree hai jeene na tumhe^ degee veeraan meree duniyaa aaoge palaT ke tum ummeed ye pooree hai bhoole se sahee ek din tum paas chale aao ek jhalak tumhaaree ab jeene ko zarooree hai sab shikawe gile chhoDo ban jaao sanam mere tum bin to meree duniyaa ab talak adhooree hai aagosh me^ tum mujhako ek baar khalish le lo zulfo^ se meree khelo tum ko ma^zooree hai. महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश ३० सितंबर २००४ २००. duniyaa ne fakat ham ko ronaa hee sikhaayaa hai duniyaa ne fakat ham ko ronaa hee sikhaayaa hai har simt mere barpaa maayoosee kaa saayaa hai kyaa keeje gilaa un se jo ho na sake apane apanee barabaadee ko khud ham ne bulaayaa hai na aaj hamaaraa hai na kal hee hamaaraa hai maazee ne bahut ham ko yaad aa ke rulaayaa hai jin jheel see aankho^ ko ham bhool nahee^ sakate kyon aaj unhee aankho^ ne ham ko bhulaayaa hai jin se mai peete the un hee paimaano^ ne ek talkh zahar ham ko ai khalish pilaayaa hai. महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश १ अक्तूबर २००४ |