Saha nahin jata tumhare pas rahne ka dard
Aur dur rahne ke liya bhi
Himmat juta nahin pata
Tum to vahi ho – jaisi pahle thin
Vahi hansi aur vahi bolne ka andaz, aur
Vahi balon ke jhatakne ki ada –
Phir kya khojta rahta hoon
Jo ab nahin raha tumhare pas
Shayad men hi ghalat houn
Jo nahin sah pata rahna tumhare pas
Dard to dard hai
Chahe vo pas hone ka ho ya bichud jane ka
Bichudne ke dard
Se to pas rahne vala dard
Kuch zyada lagta hai
Iska matlab ye bilkul nahin hai
Ki dard kam karne ke liye
Bichudna zaruri hai
All Writing.Com images are copyrighted and may not be copied / modified in any way. All other brand names & trademarks are owned by their respective companies.
Generated in 0.06 seconds at 6:26pm on Jan 13, 2025 via server WEBX1.